Tum Ho Mera Pyaar x Jaavedaan Hai Mp3 Song Download By

Karta hoon tujh mein din guzar main
Karta hoon tujh mein shab basar
Karta hoon tujh mein hi sehar main
Jeeta hoon tujh ko dekh kar

Raat din dekhna tujhko aadat meri
Yun tujhe chaahana hai ibaadat meri

Jaavedaan hai ishq tujh se jaavedaan hai
Jaan o dil ke darmiyaan hai, darmiyaan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujh se jaavedaan hai
Tujh mein hi dil ud raha hai aasmaan tu haan

Jab mile nahin thhe tum
Naa thi khushiyan na gham
Tum mile toh badle zindagi ke yeh mausam
Ho sunn raha hai jo dua
Mera rab hai tujh mein
Har jagah tha kuch kam
Mila mujhe sab tujh mein

Jitna hai tu utna hoon main
Naa kuch zyada naa hoon kam
Tujhse shuru hota hoon main
Hota hoon tujhpe hi khatam

Tum ho mera pyar, tumse hai qaraar
Tumko hi basaaya maine yaadon mein
Tumse hai nashaa, tumse hai khumaar
Tumko hi sajaya maine khwaabon mein

Jaavedaan hai ishq tujh se jaavedaan hai
Jaan o dil ke darmiyaan hai, darmiyaan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujh se jaavedaan hai
Tujh mein hi dil ud raha hai aasmaan tu haan